About Us
ہمارے بارے میں
Kisaan ka bharosa, hamari pehchaan — Open Seed International Agro Crop Sciences.
Beej se Khushhali tak
اوپن سیڈ انٹرنیشنل ایگرو کراپ سائنسز (پرائیویٹ لمیٹڈ)
Open Seed International Agro Crop Sciences (Pvt) Ltd. ek Pakistani seed company hai jis ki factory Pakpattan Road, Qaboola (Arifwala) mein aur corporate office Bahria Town Lahore mein waqe hai. Hum hybrid corn, paddy aur oil seeds ki processing, packing aur marketing karte hain.
Hamara flagship hybrid P-3940 aaj Punjab ke zameendaron ki pehli pasand hai, aur hamari nayi variety P-1881 paidawar ke naye record qaim kar rahi hai. Hamara globe aur hare patton wala logo is baat ki alamat hai ke hum international quality ko Pakistani mitti tak la rahe hain.

Hamara Vision
Pakistan ke har kisaan tak jadeed, high-yield beej pohanchana aur zarai khud-kafalat mein apna kirdar ada karna.
Hamara Mission
Research, quality control aur field support ke zariye kisaan ki paidawar aur aamdani mein izafa karna.
Hamari Values
Imandari, quality par koi samjhota nahi, aur kisaan ke sath lambi rifaqat — Growing Together.
Hamara Safar
اب ہوں گے ہمارے خواب پورے
Bunyaad
Arifwala mein kisaanon ki khidmat ke jazbe ke sath Open Seeds ki bunyaad rakhi gayi.
Processing Plant
Pakpattan Road, Qaboola par jadeed seed processing aur packing unit qaim kiya gaya.
Flagship Launch
P-3940 hybrid corn launch hua aur zameendaron ka bharosa jeeta.
Corporate Office
Bahria Town Lahore mein corporate office — marketing aur international business.
Nayi Variety
Naya hybrid P-1881 market mein — agle darje ki paidawar.
0+
Khush Kisaan
0+
Dealers Network
0+
Districts
0
Seed Products